Home | Index of Singers Begum Akhtar Page

raah-e-aashiqii ke maare raah-e-aam tak na pahu.Nche
Yahya Jasdanwalla


raah-e-aashiqii ke maare raah-e-aam tak na pahu.Nche
kabhii subah tak na pahu.Nche kabhii shaam tak na pahu.Nche

mujhe mast agar banaa de ye nigaah-e-mast terii
mera haath kyaa nazar bhii kabhii jaam tak na pahu.Nche

mujhe apanii bekasii kaa nahii.n Gam Khayaal ye hai
kahii.n baat ba.Date ba.Date tere naam tak na pahu.Nche

jo ye daur bevafaa hai tera Gam to mustaqil ho
vo hayaat-e-aashiqii kyaa jo davaam tak na pahu.Nche

[mustaqil = permanent; davaam = infinity] 

ye anokhii barahamii hai ke na bhuule se labo.n par
ba_sabiil-e-tazkiraa bhii mere naam tak na pahu.Nche

[barahamii = confusion, injustice]
[ba_sabiil-e-tazkiraa = by way of discussion]

kahii.n is tarah bhii ruuThe na kisii se ko_ii 'Yahya'
ke payaam tak na aaye ke salaam tak na pahu..Nche 

Available in Album(s):
Golden Collection
Mallika-e-Ghazal
Rare Moments

Home | Index of Singers Begum Akhtar Page
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.ghazalsingers.com
Last updated on: 20th June, 2001