Mirza Ghalib

Home | Index of Singers Jagjit-Chitra Page

 

All the ghazals included in this album are by Mirza Ghalib. The introduction is by Gulzar.

hai.n aur bhii duniyaa me.n suKhanwar bahut achchhe
kahate hai.n ki 'Ghalib' kaa hai a.ndaaz-e-bayaa.N aur

balli-maaraah ke mahalle kii vo pechiidaa daliilo.n kii sii vo galiyaa.N
saamane Taal ke nukka.D pe baTero.n ke qasiide
gu.D-guD.aatii hu_ii paan kii piiko.n me.n vo daad, vo vaah-vaah
cha.nd daravaazo.n par laTake hue gosiidaa se kuchh TaaT ke parde
ek baqarii ke mamiyaane kii aavaaz
aur dhu.ndhalaa_ii hu_ii shaam ke be-nuur a.Ndhere
aise diivaaro.n se muu.Nh jo.D ke chalate hai.n yahaa.N
chu.Diivaalaa.N ke kaTare ke ba.Dii bii jaise
apanii bujhatii hu_ii aa.Nkho.n se daravaaze TaTole
aisii benuur a.Ndherii sii galii qaasim se
ek tartiib chiraaGo.n kii shuruu hotii hai
ek quraan-e-suKhan kaa safaa khulataa hai
asadullah kha.N "Ghalib" kaa pataa milataa hai

Song Poet
har ek baat pe kahate ho tum ki tuu kyaa hai
aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
ishq mujh ko nahii.nn vahashat hii sahii (not in CD)
qaasid ke aate aate Khat ik aur likh rakhuu.N
hazaaro.n Khvaahishe.n aisii ki har Khvaahish pe dam nikale
dil hii to hai na sa.ng-o-Khisht dard se bhar naa jaye kyuu.N
vo firaaq aur vo visaal kahaa.N
baaziichaa-e-atfal hai duniyaa mere aage
kisii ko deke dil ko_ii navaa_sa.nj-e-fuga.N kyuu.N ho (not in CD)
ye na thii hamaarii qismat ke visaal-e-yaar hotaa
ko_ii din gar zi.ndagaanii aur hai (Singer: Vinod Sehgal - not in CD)
zulmat_kade me.n mere shab-e-Gam kaa josh hai
dil-e-naadaa.N tujhe huaa kyaa hai
unake dekhe se jo aa jaatii hai muu.Nh par raunaq
sab kahaa.N kuchh laalaa-o-gul me.n numaayaa.N ho ga_ii.n
na thaa kuchh to Khudaa thaa, kuchh na hotaa to Khudaa hotaa
dost Gam_Khvaarii me.n merii sayii farmaaye.nge kyaa (not in cassette)

Home | Index of Singers Jagjit-Chitra Page
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.ghazalsingers.com
Last updated on: 20th June, 2001